Friday, February 10, 2012

Ek zindagi kuch kwab adhoore





Jab bhi sochta hoon main tanhai mein
zindagi mein guzare lamho ke bare
hazar batein ankahee si chali aati hain
ek toofan mere dil mein chod jaati hain

kya kuch pal jo maine kate hain
kabhi kisike kuch dard batei hain
kya sudh li kabhi kisi mazloom ki
ya phir jeete rahe sirf bas bojh ban kar

kiya kuch bhi ho maine is zindagi mein
safai har baat ki de sakta hoon khoob
apni isi kabliyat se fiqrmand hun bahut
yunhi chhut na jaoon apne sikwon ki safai ban kar

sochta hun ki jo kal tha woh beet gaya
aaj ki subah layi hai din blkul hi naya
par jab raat hoti hai chatpatata hoon
kal ki kasam aj phir kyun toot gayi

Insaan hoon galatiyan meri phitrat hai
afsoshzada hun par mayush nahi hun ab bhi
chahoon toh kamiyab bhi ho hi jaunga
tabhi talashta rehta hun zeene ki maqsad har pal

sabko jana hai,mein bhi kabhi jaunga
yeh sacchai mujhe maloom hai yaron
ek mukam dhoondhta hun besabri se
manzil se pehle hi sham na ho jaye!!!


No comments: